abe sun re ghaslet... kaan ka wax zara poora bahar nikaal aur baat ko zara dhyan se sun aur samajh. Abhi kya hai kuchh filmon main bheja apply karne ka try naii karne ka kya. comedy ki pavitra bhaavna se movie dekhne ka aur samajhne ka try ekdum se usi time nahi maarne ka. ab pj mat maarna ki bhanva kaun? dimaag sad jata hai apna isse. ye wala joke bahut chal chuka abhi. Haan pan agar tu ekdum hi sentiaps ki dukaan type aadmi hai and u ask for checks (uii... cheques) when the person you robbing doesn't have cash, fir baat alag hai. fir to tera kaleja movie ke beech main hi muh ho aa jayega aur tu side walon ko lagega tu leak kar rela hai. aur baad main bahut majaak udega. to load nahi lene ka, movie ke beech main movie ka majaak banane ka, itta hi man kar riya hai to baad main time mila to sochne ka. samjha kya e leakage?
go watch lage raho munn bhai and curcuit bhai. a feat in bhejaless movies where the director tries to put in his bheja and tries to convey his message. aur poora chance hai ki pehle aadhe ghante main to hans hans a kidney bahar aane wali hai ma kasam. aur beechh beech main director ne itti zor se bheja lagayela hai ki aankh ka shutter down kar lene ka. thoda time baad kholne ka. aise bhee tu dekhne nahi gaya to koi bada locha nahi hai, bhai log tere ko tere bathroom se utha ke leke jaayenge aur picure dikhayenge. hit karaana maangta hai. bhai ne bola picture hit to hit.
par ek baat. sath main ek cotton a bedding leke jane ka. arey nahi yaar, kisi ko maarne pitne ka nai. tu samjha hoga ki do jamane ka aur ruyi se blood rokne ka. nahi yaar, watt mat laga mood ki. sun dhyan se. concentrate karke movie dekhna aur jaise hi koi gana vaana aaye kaan main cotton ka gadda daal dene ka. gane nahi sunne ka, sala nahi to gaya bheja ekdum se dark ages main. mamoo, precaution rakhne ka. love story pe bhee jyada dhyan nahi dene ka, love is anyway a triumph of imagination over intelligence. uii... solid baat. :)
ab kya hai, i hav seen a hindi movie after a long time. i've got my hair cut twice during that period and its time for third one. to ho sakta hai lambe baalon ki ghutan hai ya picturon se judai ka asar, but munna bhai .. err .. circuit bhai ko dekhna to maangta... samajh main aaya kya? abhi jeb se haath nikal, computer band kar, bike utha aur dekh ke aa. fir baat karte hain apun. dekhte hain tu bhaigiri chhodta hai ki nahi??
Monday, September 04, 2006
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
7 comments:
I am going to see the movie today. Aapun ko tera review bahut pasand ayela hai. Achaha hai tune story ha bata ke suspense to khallasn nahin kar dala. Aisa movie dekhne ko maangta, kya?
From the intital response, it seems that the sequel for once is better than the original munnabhai.
ae yeda ho riya hai kya ...movie is too good. munnabhai, circuit and bapu rocks
@hiren
yes... movie ekdum jhakkas banela hai... apun ne isi liye kuchh discuss nahi kiya uska concept, suspense ka watt nahi lagane ka.. :)
@dhaval
arrey bhai gussa nahi... movie rocks... but kuch kuch scene beech main bas over the ... overall the movie is a must c & think... :D
Arre tu toh apun ki boli bolne laga bina permisan ke! :O
Sash Bhai dho dalegi tereko sadak par! :D
@atul
hahaha... tu to sentii ho gaya re... movie dekh ke bahar nikla aur preaching chaloo kya? :P
@Sash
Munna bhai ka asar hai mamu, khali peeli museebat main fans gaya apun to. Sadak se door rahega apan abhi kya.... :D
ye picture to apun abhi nahee dekhelaa hai lekin akkha blogspot par sab bhaailog post par post kar rela hai iss picture ke vaaste....apun bhi dekh ke ek post chipkaayega kyaa...
oye picture nahee dekh kar ke bandar nahee ban ne kaa wo bi gandhiji kaa :D
@cardamom
Dekh le bidu dekh le.. mast maja aa jane wala hai tere ko, aur pan tera post padhne aayega re hulkut... :)
Post a Comment